Atal Pension Yojana 2020-21 Apply Online

Atal Pension Yojana 2020-21 Apply Online

Atal Pension Yojana 2020-21 Apply Online


Atal Pension Yojana 2020-21 Apply Online:- Kendra sarkar ne asangathit kshetra me kam karne vale logo ke liye varsh 2015 se Atal penson Yojana ( APY) Ki suruat kar rakhi hai, Is (APY) yojana ke tahat un sabhi logo ko jinhone APY yojana ke liye Online apply kar rakha hai, unhe seva nivrity ke bad prati mah 1000 se lekar ke 5000 rs tak ki dhan rashi sarkar ki taraf se penson ke rup me di jaegi. Yah yojana asangathit kshetra me kam karne vale logon ke liye kafi fayademand ek samajik suraksha skim hai. Iske alava isi prakar se Pradhan Mantri Vand Vay Yojana (PMVVY) bhi hai jo prati mah ek nischit rasi pension ke rup me pradan karti hai.

Atal Pension Yojana


Atal pension yojana me nivesh karne se ritaire hone ke bad ab arthik kami ke karan hone vali paresaniyon se paresan hone ki jarurat nahi hai, Pahle is yojana ka name svavlamban sah-ansdayi penson yojana tha. APY ke liye online apply karne ke liye aap enps.nsdl.com portal par ja sakte hain ya is artical me niche darsaye gaye instruction ko follow kar sakte hain. Iske alava aap ansdan ya pension vhart , statement , pension amount calculator bhi dekh sakte hai.
APY yojana ki sabse khas bat yah bhi hai ki yadi kisi akaran vash pension ka labh utha rahe byakti ki mrityu ho jati hai to bhi unke parivar valon ko iska labh milata rahega, yani ki pension dhari ke bad me unki patni ko aur patni ke bad me unke bachho ko iska labh milta rahega.

Atal Pension Yojana Apply Online



  • APY yojana me apply karne ke liye aap ko sabse pahle enps.nsdl.com portal par jakar ke open ka lena hai,

  • open hone ke bad aapko National Pension System ke boton par click karna hai,

  • Fir aapko open hone ke bad Resistration boton par click karna hai , ya aap direct is link se ja sakte hai:-
    Link-- APY Online Apply

  • Iske bad me aapko apna aadhar number dal ke OTP dal dena hai, aur Continue boton par click kar dena hai,

  • Click karne ke bad aapke pas APY apply ke liye Application khul ke aa jaega,

  • Is pej me aapse jo bhi jankari puchha jaye use carefully dal dena hai

  • Uske bad pension rasi ke liye ansdan aur jaruri documents dal ke aage bdh jana hai


APY yojana me apna resistration process complete karne ke bad me aapke liye bank ke dwara ek permanent ritayarment number jari kar diya jayega, jo aapko bhavisya ke liye save kar ke rakh lena hai. Yahi number aapke refrence number ya resistration number ke rup me bhi kam aayega.

Atal Pension Yojana Terms And Conditions


APY ya Nation Pension Yojana Sceme ka labh lene ke liye sarkar ki taraf se kuchh niyam aur sarten rakhi gayi hai, jis me labharthi yadi sahi paya jata hai, tabhi vah is yojana ka labh utha sakta hai. Jiski suchi aap niche dekh sakte hai,

  • Sbhi avedan karta Bharat ke sthayi nivashi hone chahiye

  • Avedakon ki aayu sima 18 varsh se 40 varsh ke bich me honi chahiye

  • APY yojana ka labh uthane ke liye aapko kam se kam 20 varsh tak nivesh karna hoga

  • APY yojana ka labh sirf vahi log utha sakte hain, jo income tax ke dayre men nahi ate


Atal Pension Yojana penalty


APY yojana ke antargat aapke ansdan me deri hone par bank ke dwara ek jurmana tay kiya jata hai, jo ki is prakar se hai

  • 100 rs mashik yogdan me deri par 1 rs jurmana

  • 101 rs se 500 rs tak ki ansdan me deri par 2 rs ka jurmana

  • 501 rs se 1000 rs tak ki ansda me deri par 5 rs jurmana

  • 1000 se uper ki ansdan rasi me deri par 10 rs jurmana pratimah bank ke dwara nirdharit kiya jata hai.