Bihar Bhulagan Se Rasid Kaise Kate 2021

Bihar Bhulagan Se Rasid Kaise Kate 2021

Bihar Bhulagan Se Rasid Kaise Kate 2021


DOSTO, aaj hum is post me jaane wale hain ki kis tarah se aap sabhi bihar me ghar baithe apne jamin ya ghar ka online rasid kaat paaenge, to aap sabhi se nivedan hai ki is post ko pura jarur padhiyega taki aap sabhi sahi se samajh paaen ki kis tarike se ghar baithe online jamin ka rasid kata jata hai.


Bhu Lagan Kya Hai??


dosto, bhulagan.bihar.gov.in bihar sarkar ki wo official site hai jiske madhyam se aap sabhi apne jamin ka rasid ghar baithe online hi prapt kar sakenge, jiski vajah se aap sabhi ko kisi bhi cyber cafe ya fir kisi bhi internet shop men jaane ka jarurat nhi padega........  To chaliye hum jaan lete hain ki kis tarah se aapke jamin ka rasid aasani se kaatna hai..


BHULAGAN.BIHAR.GOV.IN is site par sabse pahle aap sabhi ko visit karna hai, jaise hi aap bhulagan.bihar.gov.in par jaate hain aapke samne 2 option dikh jaega 1.lambit bhugtan ki sthiti aur 2. online bhugtaan kare to aab sabhi ko online bhugtan kare par click kar lena hai jisse pahle aapko upar diye gaye captcha ko bhi fill kar lena hai..Bihar Bhulagan Se Rasid Kaise Kate 2021

 

IS PROCESS KE BAAD KYA KARE??


FRIENDS, in sabhi process ko complete karne ke baad aap sabhi ke saamne ek aur page khulkar saamne aa jaega jismen aapse aapka jila(distt) aur block puchha jaaega jisko select kar lena hai aur iske baad aage badhe wale button par click kar lena hai ..... ab iske baad aapko apna halka(panchayat) aur mauja (village) select kar lena hai.. ab iske baad aapse aapke jamin ka bhag vartman aur prishth sankhya puchha jaaega... agar aap apne jamin ka bhag vartman jaante hain to fill kar lijiye aur yadi nhi jaante hain to niche diye gaye""jambndi panji men bhag sankhya khoje"" par click kar dijiye ..... jiske baad aap ko biharbhumi.bihar.gov.in par redirect kar diya jaaega...ab yaha par aap sabhi apna bhag sankhya dekh sakte hain, aur yadi aapko bhag sankhya nikalne me koi bhi pareshani aati hai to aaqp niche diye gaye comment box me apne problems ke baare men hum se puchh sakte hain....Bihar Bhulagan Se Rasid Kaise Kate 2021doston bhulagan.bihar.gov.in par ab baari hai bhag sankhya aur prishth sankhya daalkar search karne ka to aap sabhi in dono ko fill kar ke khoje button par click kar lijiye.... iske baad jinke nam se jamin hoga unka nam, khata number, khasara numbrer sab dikh jaaega jiske last men ek option dekhe likha hoga,,, dekhe button par aapko click kar dena hai jiske baad aapka saara detail show ho jaaega aur niche men ek option dikhega ""online bhugtan kare"" ispe click karne ke baad aapse aapka nam pata aur mobile number puchha jaaega jisko aap sabhiko fill kar lena hai... aur niche diye gaye checkbox ko bhi click kar lena hai jiske baad aapko fir se online bhugtan kare butto par click kar lena hai,, ab aap pahuch jaaenge payment page par..... jaha aapko sabse pahle apna bank choose karna hai jis bank men aapka netbanking ho ,, doston ek baat aur bata dun ki agar aapke paas netbanking hai tabhi aap sabhi apne jamin ka rasid kaat paaenge ,, aur yadi aapke paas netbanking nhi hai to aap sabhi humse contact karke bhi apna rasid prapt kar sakte hain,, aapka rasid humse katwane ke liye  thetotaltwist.in/online-jamin-ka-rasid-kaise-kate/  par click karke pura padh lena haiaur niche diye gaye comment box me likhna hai ki mere jamin ka rasid kaatna hai ya fir thetotaltwist.in par diye gaye whatsapp button ko bhi click karke direct humse sampark kar sakte hain aur apna rasid katwa sakte hain...


Bhulagan Ka Payment Kaise Kare??


dosto, bhulagan.bihar.gov.in par jab aap apna bank select kar lenge aur submit button par click kar lenge aapse aapka netbanking type puchha jaega jisko aapko click karke submitkar lena hai jiske baad aap se aapka user id aur password puchha jaega jiske baad aap payment sucssess kar paaenge aur last men aapko firse bhulagan.bihar.gov.in par redirect kiya jaaega jaha se aap apna rasid ka pdf save kar paaenge ya print bhikar sakte hain...
ThankYou......................