Bihar Ration Card Apply Form PDF Download 2020-21

Bihar Ration Card Apply Form PDF Download 2020-21

Bihar Ration Card Apply Form PDF Download 2020-21


Bihar Ration Card Apply Form PDF Download 2020-21:- Bihar ke khadya aur nagrik aapurti vibhag ne bihar ration card list jila ke kramanusar jari kiya hai, bihar me ration card ke naya resistratin karne vale sabhi nagrik ab rastriya khadya suraksha adhiniyam ki patra suchi me apna name dekh sakte hain. Iske alava jin abhyarthiyon ka name ration card ki nai suchi 2020-2021 me nahi dikhta hai, aur ve ration card ki naya list me apna name jodna chahte hain ve is artical me diye nirdesh ki madad se apna name bihar ration ke list me jod sakte hain.
Garib logon ke liye ration card ek mahatvapurn dastavej hai taki ve log koi bhi sarkari scheme ka labh utha sake. Aur sabse bjaruri bat yah hai ki log apne najdik me sthit ration ki dookan se kifayati daro par ration kharid sakte hain. Bihar ration kard apply karne ke liye iska form ab PDF ke roop me rajya ke sabhi nagriko ke liye uplabdh hai.
Bihar sarkar ne ration card me apna khojane ki prakriya ko asan banane ke liye is ration card ki nayi list ko sarvajanik kiya hai. Ab sabhi ummidvar apna name APL ya BPL list me asani se dekh sakte hain. Ration card ki list me apna jodne ke liye niche diye gaye instrunction se bihar ration card apply PDF form download kar sakte hain.

Bihar Ration Card Apply Form PDF Download


Bihar me naya ration card banane ke liye aap niche diye link se apply foem PDF ke roop me download kar sakte hain,

Requirements For Apply New Ration Card Bihar(Offline)



  • Ration card apply karne ke liye abhyarthi iska form apne circle office aur SDO office se le sakte hain

  • Apply karne ke liye parivar ke mukhiya ka ek passport size photo hona chahiye

  • Parivar ke mukhiya ka nivas praman patra bhi ho chahiye

  • Yadi nivas praman patra uplabdh nahi hai to fir circle FSO/ M.O /SI aapke pados ke 2 gavaho se sunischit karvata hai

  • Ration card banke taiya hone ke liye nirdharit manak samay 15 din hai, yah prakriya alag-alag rajyon me alag ho sakti h
    Bihar sarkar ne ration card jo pahle se bane hue hain unme sudhar karne ka bhi pravdhan jari kar diya hai.


Documents For Apply New Ration Card Bihar(Offline)



  • Passport size photo

  • Aadhar card

  • Pichhala electricity bill

  • Gas connection

  • Jati praman patra

  • Pan card

  • Aay praman patra

  • Bank passbook
    Documents required foe bihar new ration card apply


Bihar sarkar sabhi nagriko ke liye ration card jari karne ja raha hai, chahe vo BPL ke antargat aate hon ya APL ke. Bibhinn ration ki dookanon par dealer ke madhyam ration lene ke liye ration card jaruri hoga. Iske alava sabhi nagrik bihar ke ration card ki nayi suchi me apna name bihar ke khadya aur aapurti vibhag ke adhikadhik website par dekh sakte hain.

Ration card uchit mulya ki vastuon ki kharid ke liye sarkar dwara jari ek jaruri dastawej hai, Uparokt garibi rekha (APL), garibi rekha se niche (BPL) aur antyoday parivaron ke liye alag-alag ration card jari kiye jate hain. Yah bhartiya nagrikon ke liye ek jaruri kagjat hai kifayati dar par aavasyak bastuon ki kharid par paise bachata hai.
Iske alava bihar me ration card ka upyog Domocile Certificate jaise anya sabhi dastavejon ke banane me pahchan ke praman ke rup me bhi kam aata hai. aapka name matdata suchi me samil karne ke liye sabhi BPL parivaro ko blue card diya jata hai, jiske madhyam se ve vishesh sabsidy ka labh utha sakte hain. Sthati ration cardo ke alava sabhi rajya aasthayi ration card bhi jari kar sakte hain jo kuchh mahinon tak valid rahenge aur rahat ke liye jari kiye jaenge.