Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana 2021

Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana 2021

Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana Bihar 2021 


Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana Bihar 2021 :- Desh ke rajyon me aaj bhi betiyon ko bojh ke rup me dekha jata hai, jiski vajah se bhrun hatya ke mamle bhi samane aate rahte hain. Aise hi sari samasyaon ka ant karne ke liye bihar sarkar ne ek nai yojana suru ki hai, jiska name hai Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana. Is yojana ke antargat ladkiyon ke janm hone se lekar ke graduation complete karne tak sarkar ladkiyon ke parivar vaalon ko aarthik madad sarkar ke dwara muhaiya karai jaegi. Mukhya Mantri Kanya Suraksha Yojana ke tahat rajya ki garib aur nirdhan parivar ki ladkiyon ko sarkar 51,100 rs ki arthik madad karegi. Aaj ham is lekh me aapko Mukhya Mantri Kanya Suraksha Yojana se judi tamam jankari ke bare me batane wale hain.

Mukhya Mantri Kanya Suraksha Yojana ke madhyam se sarkar us rudhivadi samaj ko sudharne ka prayas kar rahi hai, jo ladki paida hone par sok manate hain aur ladkiyon ko ladko ke apeksha kam aanate hain.

Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana ke Labh



  • Is yojana ke tahat sarkar 51,100 rs ki dhan rashi muhaiya karaegi

  • Ladkiyon ka bal-vivah na ho aur unhe kam se kam graduation tak padhaya ja sake is ke liye is dhan rashi ko alag-alag kist me alag-alag samay par vitarit kiya jaega

  • Bihar ki 1.59 lakhs ladkoyon ko is yojana ka labh milega

  • Is yojana ki madad se mahilayen bhi aage badh paengi

  • Garib parivaron ko ladkiyon ke paida hote hi paisa milne lagega is se bhrun hatya ke mamle bhi honge

  • Rudhivadi vicharon ko is ke jariye sahi samay par badala ja sakega

  • Bal-Vivah par puri tarike se rok lag jaega

  • Desh me siksha ke prati jagrukta badhegi


Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana Se Judi jaruri Baaten


Sarkar ne is yojana ka karyabhar MKSY ko saupa hai, rajya ki ladki ko janm ke samay sarkar ki taraf se 2000 rs ki dhanrashi ladki ke mata pita ke khate me di jaegi. Ladki ke ek sal ho jane aur aadhar card ban jane par 1000 rs ki dhan rashi di jaegi. Jab ladki 2 sal ki ho jaegi tab use 2000 rs ki dhan rashi sarkar ke dwara diya jaega. Ladki ke 10th aur 12th pass kae lene ke bad use 10000-10000 rs ki dhan rashi sarkar ki taraf se protsahan rashi ke rup me diya jaega. Fir graduation complete kar lene ke bad ladki ko 25000 rs ki dhan rasi sarkar ki taraf se pradan ki jaegi.

 

Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana ke Liye Documents



  • Agar ladki ka janm hota hai to, avedan karne vale parivar ko hospital dwara jari kiye gaye praman p[atra dena hoga jis se yah spast ho ki aapke yaha putri paida hui hai

  • Yojana ka labh keval bihar ki ladkiyon ko diya jaega

  • Yojana ka labh keval garib varg ke ladkiyon ko diya jaega

  • Agar avedan karne vale parijanon ki ladki badi ho gai hai to aadhar card ki jarurat padegi

  • Yojana me aavedan karne vala parivar kisi sarkari naukari me nahi hona chahiye

  • Sarkar ko tax dene vala parivar bhi is yojana ka utha paega

  • Avedan karne vale parivar ke pas aadhar card aur bank passbook hona anivarya hai

  • Avedan karne vale ke pas mobilre number hona jaruri hai

  • Yojana me kisi bhi umra ki ladki avedan kar sakti hai


Mukhyamantri Kanya Suraksha Yojana Avedan Kaise Kare


Is yojana me avedan karne ke liye aapko apne najdiki aanganbadi kendra men jana hoga, vaha jakar ke avedan form lekar ke form bhar de aur jaruri documents attach karke jama kar de. Is tarah aapka resistratio process bhi complete ho jaega. Uske bad me aapka avedan jaach kiya jaega, aapka avedan sahi paye jane par aapko is yojana ka labh milna suru ho jaega.