Mukhyamantri Vriddhjan Pension Bihar E-KYC Online

Mukhyamantri Vriddhjan Pension Bihar E-KYC Online

Mukhyamantri Vriddhjan Pension Bihar E-KYC Online


HELLO DOSTO AAJ IS POST MEN HUM AAPKO BATANE WALE HAIN KI KIS TARAH SE AAP SABHI APNE YA APNE CUSTOMERS KA ONLINE E-KYC KAR PAENGE????
Onlineekyc bihar, ekyc vridha pension bihar online, online ekyc vridha pension, vridhapension form, mvpy oline apply bihar
agar aap bhi janna chahte hain ki kis tarah se vridha pebsion bihar kakyc kiya jata hai to is post ko pura jarur padhiyega, to chaliye hum jaan lete hain ki is pension ka ekyc online kaise karna hai??

Vridha Pension Kyc Ke Liye Kya Kya Chahiye??


dosto agar aap apne ghar me ya dukan par kisi ka bhi online ekyc karna chahte hain to aapke paas csc (Common Service Center) hona bilkul jaruri hai, yadi aapke paas csc nhi hai to aap ye kyc khud se nhi kar sakte, iske liye aapko apne najdiki csc center par jana hoga aur waha par bolna hogaki mera ekyc karna hai..

CSC Se Online Ekyc KAise Kare


friends agar aapke paas csc id hai to main aapko is post men batane wala hun ki kis tarah se aap vridha pension ka ekyc kar paaenge , doston sabse pahle aapko apne digital seva portal men login kar lena hai aura uske baad search box men search karna hai e-labharthi",  jaise hi aap e-labharthi search karenge niche men aapko labharthi bihar likha hua najar aayega, jispe aapko click kar dena hai click karne ke baad aap e-labharthi bihar ke official site par redirect ho jaaenge , iske baad aapko click here to login ka ek button niche men show ho jaaega jispe click karne ke baad login with digital seva connect ka option aa jaaega.Mukhyamantri Vriddhjan Pension Bihar E-KYC Onlinejaise hi login with digital seva connect ka option aa jata hai uspe aapko click karke apne csc ke madhyam se fully login kar lena hai.. login karne ke baad aapko waha par 3 option dikh jaaenge jiske madhyam se aap jinka ekyc karna chahte hain unka detail search kar paaenge,, waha par pahla option account number ka dkhega aur dusra option aadhar number ka dikhega aur tisra option  benificiary id ka dikh jaaega ab yaha par aapko select kar lena hai ki aap kis number ya id ke madhyam se apne benificiary ko search karna chahte hai,yadi aap aadhar number se search karna chahte hain to aap aadhar par select karke apne benificiary ka aadhar number enter kar dijiye aur yadi aap account number aur benificiary id se search karna chahte hain to acccount ya id par select karke apna account ya benificary id enter karke search button par click kar lijiye, ab yaha par aapke us vyakti ka naam pata aur mobile number show ho jaaega jinka aap kyc karna chahte hai..
IS Process Ke Baad Kya Kare??


friends jaise hi aap is process ko complete kar lete hain aapko us vyakti ka date of birth enter karna padega jo aadhar card me likha hua hai. dob enter karne ke baad aap authenticate button par click karke demographic verification complete kar lenge,,
itna saara process jaise hi complete hota hai to fir aapke saamne benficiary ka biometric authenticate karne ka option aa jaaega jisko aapko complete kar lena hai , aap jaise hi ye bhi process complete kar lete hain to ab baari aati hai payment ki jo lagbhag 5 rupye hota hai to yaha par aapko apna wallet pin enter kar ke payment ko kar lena hai jiske baad aapke saambne aapka biometric status aa jaega jisko ap print bhi kar sakte hain aur pdf bhi save kar ke rah sakte hai .. isi tarah ki jankariyon ke liye search kijiye  INDIASARKARIJOB.Aur Yadi aapko koi bhi Dikkat ya Problem Aati hai To Niche Comment karke Jarur Bataiyega.. Thankyou