SSC CGL Online Apply 2021 How To Apply SSC CGL Online

SSC CGL Online Apply 2021 How To Apply SSC CGL Online

SSC CGL Online Apply 2021


Friends, Ssc ke dwara combined graduate level (CGL) exam ka official notification ssc ke official website par upload kar diya gaya hai. aap online apply kaise kar sakte hain is post me hum batane wale hain.

SSC CGL Online Apply 2021


dosto, ssc dwara official website par cgl online application ke liye schedule jaari kar diya gaya hai, aap sabhi ssc.nic.in par jakar apna aawedan kar sakte hain.

SSC SE JUDI JAANKARI NIMNANKIT HAI


Short Information:- SSC CGL india me graduated students ke liye aaytojit ki janewali exams me se ek mani jaati hai.ssc bharat sarkar ke vibhinn mantralayo aur vibhago me aur apne adhinashth karyalayo me vibhinn post ke liye karmchariyo ke liye pratyek varsh ssc cgl aayojit karta hai.

Post Of Ssc CGL:-  sahayak lekha pariksha adhikari, vibhagiye lekhakar, sahayak lekha adhikari, lekha parikshak, kanishth lekhakar/lekhakar, varishth sachivalay sahayak,sahayak anubhag adhikari etc.


Payments Of Staff:--


Group-b ---9300-34800
Group-c---5200-20200


Educational Qualification- aawedak ke paas ek manyataprapt university ya fir sansthan se graduation ki degree honi chahiye, antim varsh pariksha ke liye upasthit student ssc exam ke liye eligible hain. iski vistrit jaankari aap corporation dwara jaari kiye gaye official website ke madhyam se le sakte hain.

SSc CGL AGE LIMIT


dosto ssccgl ke liye sirf wahi students apply kar sakte hain jinka age 01-01-2021 tak 20 se 30 varsh ho rha hai, anyatha aap is form ko apply nhi kar sakte ...

SSC CGL APPLY KAISE KARE??


doston ab is sabhi informations ke baad hum aapko batane wale hain ki kis tarah se ssc cgl ke liye online aawedan karna hai, yadi aap koi bhi bina galti kiye aawedan karna chahte hain, to is post ko pura jarur padhiyega ..
dosto sabse pahle aapko iske liye ssc.nic.in par jana hoga jaha par aapko sabse pahle apna registration karna hoga jismen aapse aapka aadhar number, name, father name, mother name, date of birth, email id, mobile number puchha jaaega jisko aapko bilkul sahi sahi fill kar lena hai jiske baad firse aapko apne registreation ,number aur password ke sahayta se  login karna hoga jiske baad aap sabhi apne form ko fill kar paaenge aur payment bhi kar paaenge..

to chaliye ab hum aapko batate hain ki aapka registration kaise karna hai aur form ko fill kaise karna hai bina koi galati kiye...
to doston jaise hi aap ssc.nic.in par jaate hain aapko right side corner men login button dikh jaaega jiske bilkul pas hi new user?? register now ka button bhi dikh jaaega jis par aapko click kar lena hai jiske baad aapko apna saara detail fill kar lena hai jaisa ki upar aap sabhi ko bataya gaya hai.
aapko apna registration complete kar lene ke baad registration number aur password ki sahayta se login kar lena hai jo aapne registration karte time banaya tha. login karne ke baad aapko ssc cgl ka tab sabse pahle hi dikhai dega aapke dashboard par.... jiske niche apply button aur payment aur print button dikh jaaega to friends sabse pahle aapko apply button par click kar lena hai jiske baad aap sabhi ko apna wo saara detail fill kar lena hai jo aapse puchha ja rha hai.

iske baad aap[ sabhi ko payment karna hoga payment karne liye aapko apne dashboard me login karna hoga,,, logfin karne ke baad dosto aap sabhi ko payment button par click kar dena hai iske baad aapko payment page par redirect kiya jaaega jiske baad aap apne debit card, netbaking, aur bhim upi ke through payment karna hai jiske baad aapko aapka payment slip b hi de diya jaaega jisko aap print bhi kar sakte hain ya fir pdf me save kar ke future ke liye rakh bhi sakte hain.

print ssc cgl application


dosto aap sabhi ko final payment karne ke baad apna application print kar ke rakh lena hai ya fir pdf me save kar ke rakh lena hai, isse pahle aap sabhi se aapka photo manga jaaega jispe print date bhi likha hona chahiye tabhi aapka photo masny hoga aur signature bhi aapko upload karna hoga...

IMPORTANT LINKS
OFFICIAL SITE     -   CLICK HERE


APPLY ONLINE     -   CLICK HERE


 

Uttar Pradesh Free Laptop Yojana 2021 Apply Online